Wednesday, 6 July 2011

dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?

1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai


2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?


[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]


3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?


4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai


5. ye paree chehara log kaise haiN ?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?


[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance,
ishwa = coquetry ]


6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?


[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]


7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?


[ abr = clouds ]


8. hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai


9. "haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai ?


[ darvesh = beggar, sada = voice ]


10. jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai

11. maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?

No comments:

Post a Comment