Thursday, 7 July 2011

jaur se baaz aaye par baaz aayaiN

.......................................................................................................

1. jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?
kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

[ jaur = opression/tyranny ]

2. raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN
ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

[ gardish = misfortune/wandering about ]

3. laag ho to usko ham samjaiN lagaav
jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

[ laag = love/affection ]

4. ho liye kyoN naamaabar ke saath-saath ?
yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ?

[ naamaabar = messanger ]

5. mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye
aastaan-e-yaar se uTh jaayaiN kya ?

[ mauj = wave, mauj-e-KHooN = bloody waves, aastaan = abode ]

6. umr bhar dekha kiye marne kee raah
mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?

7. poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ?
koee batlao ki ham batlaayaiN kya ?

.......................................................................................................

No comments:

Post a Comment